A very dear friend of me referred me Peer-e-kamil as life changing book and before even going through the whole asset of the book, I realized that it is, and it was a master piece from Umera Ahmed.
Some of her passage in her own words, selected for Chowrangi readers in roman Urdu here.
“Zindagi mein ham kabi na kabi os maqam per aajatey hein jahan saarey rishtey khatam ho jate hein.Vahan sirf ham hotey hein aur Allah hota ha. Koi maan baap,behan bahi,koi dost nahi hota. Phir hamein pata chalta ha ke hamarey pairoon ke neechey zameen ha na hamarey sir ke oper koi aasmaan,bus sirf aik Allah ha jo hamein is khala mein bhe thamey hoye ha. Phir pata chalta ha ham zameen per parii mattii ke dher mein aik zarey ya dharakht per lagey hove aik patey se zada ke voqat nahi rakhtey . Phir pata chlata ha ke hamarey honey ya na honey se sirf hamein he fark parta ha. Sirf hamara kirdaar khatam ho jata. Kaenaat mein koi tablie nahi aatii,kissi cheez per koi asar nahi perta.”
” Har aik ko bikhari bana kar rastay me bithaya hua hay,
aur har aik khud ko malik samjhta hay.jab tak thokar nahi lagti,
jab tak ghutnoon par nahi girta apni aukaat ka pata hi nahi chaltaa.
wojood kay naseeb main hay bikhari hona bus Zaat bikhari nahi ho sakti. Wojood kay muqadar me mangana hay Zaat ka wasaf daina hay.
Main to kia BB! sab bikhari hain. Aj nahi to Kal, Kal nahi to parson
kabhi na kabhi bikhari banna hi parta hay.Mangana hi hota hay.
Koi Ishq mangata hay koi Duniya or jo yeh nahi mangta woh
Khuahish Ka Khatam hona mangata hay.”
About the author Umera Ahmed, she completed her masters in english from Marey College Sialkot and now linked with Army Public College. Her creative work starts with digests on women. Her play “ La Hasil†been telecasted on TV and FM as well, several other plays under process.
Leave a Reply