Ghar Kon Sa Hai Mera
Chohrahe par khari hn, Saman Bandhe apna
Koi Mujhe Bata de, kon sa ghar hai mera
Pehla woh ghar tha, jis main janam lia tha
Baba ne ungli pakri, main ne qadam lia tha
Yun lamha lamha pala, khoone jigar pilaya
Mehnat se rozo shub ki, itna mujhe parhya
Kehti thi meri ami, tum to paraya dhan ho
Ho ghair ki amanat, mehman jane e man ho
Tum ghar ki apni hogi, to sans sukh ka lun gi
So’ongi neend apni, be fikar bhi rahongi
Baba ne rukhsati par mujh se kaha tha Beta!
Gar ho khushi se ana, to dar ye khula hai
Warna tumhara ghar to shohar ka ghar hai, Beta!
Is ghar main ja baso gi, to mujh ko sakoon mile ga
Khushain bahut sameto!, pholo phalo wahin par
Tum chahye takht nasheen ho, ya betho zameen par
Us ghar ki piari miti, tumhara singhar hogi
Ye piara sa tasawar, dil main basa ke ai
Maa Baap ki duain, bhaion ka piar lai
Tub main yeh soch bethi, ye ghar hai mera apna
Mudat ke baad akhir, poora huwa hai sapna
Is ko banaya main ne, isko sanwara main ne
Mehnat se roz o shab ki, isko nikhara main ne
Angan se ghar ke jaise, kuch phool mehak uthay
Khushboo se in gulon ki, dewaar o dar bhi Mehke
Har lamha zindagi ka, inhi ko main ne sonpa
Raton ki neend de di, aram din ka sonpa
Shohar ki khidmaton main, ye jaan o tan ganwaya
Husn o jawani, sehat aur husn e zun gunwaya
Aik roz jo ghar laute, tewar thay unke badle
Yeh kainat badli aur roz o shab bhi badle
Kehne lage mujhe woh, tang agia hn main tum se
Miar apna khoya, ghabra gia hn tum se
Rehta hn tung tum se, hoga na ab guzara
Niklo yahan se foran, kab hai ye ghar tumhara
Bache bhi us ke thehre, ghar bar bhi usi ka
Daulat bhi uski thehri, sansar bhi usi ka
Hairan khari hn, chorahe par akeli
Koi mujhe bata de, kon sa ghar hai mera ?
A Daughter’s Message
By Suriya Muni – Sakardu
Leave a Reply